Hindi Shairies

THIS SITE IS CURRENTLY UNDER CONSTRUCTION. MOST OF THE PAGES ARE DONE BUT STILL NEED SOME WORK. SOME PAGES HAVE YET TO BE COMPLETED. PLEASE CHECK BACK LATER. THANK YOU!!!!!!!

 

 

Home

 

Here are some of the shairies that are sent by people.

ENJOY!!!!

(will be updated every week)

 

Mast Nazron se dekh lenaa tha..
Agar tamanna thi aazmane ki..
Hum to behust youn hi ho jaate..
Kya zaroorat thi muskurane ki.. 

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega

Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai, Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Dil Aur Jaan Main Utar Jayega

Dost Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Maar Jaye Hum
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Malai Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti